Monday 7 January 2013

Surah Al-Baqarah 2:282

 

 *Note: Text in red is my next sabaq InshaAllah.*

2:282 

 يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا إِذَا تَدَايَنتُم بِدَيْنٍ إِلَىٰ أَجَلٍ مُّسَمًّى فَاكْتُبُوهُ ۚ وَلْيَكْتُب بَّيْنَكُمْ كَاتِبٌ بِالْعَدْلِ ۚ وَلَا يَأْبَ كَاتِبٌ أَن يَكْتُبَ كَمَا عَلَّمَهُ اللَّـهُ ۚ فَلْيَكْتُبْ وَلْيُمْلِلِ الَّذِي عَلَيْهِ الْحَقُّ وَلْيَتَّقِ اللَّـهَ رَ‌بَّهُ وَلَا يَبْخَسْ مِنْهُ شَيْئًا ۚ فَإِن كَانَ الَّذِي عَلَيْهِ الْحَقُّ سَفِيهًا أَوْ ضَعِيفًا أَوْ لَا يَسْتَطِيعُ أَن يُمِلَّ هُوَ فَلْيُمْلِلْ وَلِيُّهُ بِالْعَدْلِ ۚ وَاسْتَشْهِدُوا شَهِيدَيْنِ مِن رِّ‌جَالِكُمْ ۖ فَإِن لَّمْ يَكُونَا رَ‌جُلَيْنِ فَرَ‌جُلٌ وَامْرَ‌أَتَانِ مِمَّن تَرْ‌ضَوْنَ مِنَ الشُّهَدَاءِ أَن تَضِلَّ إِحْدَاهُمَا فَتُذَكِّرَ‌ إِحْدَاهُمَا الْأُخْرَ‌ىٰ ۚ وَلَا يَأْبَ الشُّهَدَاءُ إِذَا مَا دُعُوا ۚ وَلَا تَسْأَمُوا أَن تَكْتُبُوهُ صَغِيرً‌ا أَوْ كَبِيرً‌ا إِلَىٰ أَجَلِهِ ۚ ذَٰلِكُمْ أَقْسَطُ عِندَ اللَّـهِ وَأَقْوَمُ لِلشَّهَادَةِ وَأَدْنَىٰ أَلَّا تَرْ‌تَابُوا ۖ إِلَّا أَن تَكُونَ تِجَارَ‌ةً حَاضِرَ‌ةً تُدِيرُ‌ونَهَا بَيْنَكُمْ فَلَيْسَ عَلَيْكُمْ جُنَاحٌ أَلَّا تَكْتُبُوهَا ۗ وَأَشْهِدُوا إِذَا تَبَايَعْتُمْ ۚ وَلَا يُضَارَّ‌ كَاتِبٌ وَلَا شَهِيدٌ ۚ وَإِن تَفْعَلُوا فَإِنَّهُ فُسُوقٌ بِكُمْ ۗ وَاتَّقُوا اللَّـهَ ۖ وَيُعَلِّمُكُمُ اللَّـهُ ۗ وَاللَّـهُ بِكُلِّ شَيْءٍ عَلِيمٌ

Yā 'Ayyuhā Al-Ladhīna 'Āmanū . Ay logon jo imaan laye ho
'Idhā Tadāyantum . Jab tum khud muamila karo
Bidaynin 'Ilá . Ud'haar ka
'Ajalin Musammáan . Aik mud'at muqar'ar tak
Fāktubūhu  ۚ . Pas lihk lo usko
Wa Līaktub Baynakum . Aur chahiye ke lihk de tumhare darmiyaan
Kātibun . Aik lihkney wala
Bil-`Adli  ۚ. Insaaf ke saath
Wa Lā Ya'ba Kātibun . Aur na inkaar karey lihkney wala
'An Yaktuba . Yeh ke lihkay
Kamā `Allamahu Al-Lahu  ۚ. Jaise ke usko sihk'aya Allah Ta'lla ne
Falyaktub . So chahiye ke woh lihk de
Wa Līumlili Al-Ladhī . Aur yeh ke lihkata jaye woh 
`Alayhi Al-Ĥaqqu . Ke uspar haqq hai
Wa Līattaqi Al-Laha . Aur woh dar'ay Allah Ta'lla se
Rabbahu . Apney Rab se
Wa Lā Yabkhas . Aur na woh kaam kare
Minhu Shay'āan  ۚ . Us'se kuch bhi
Fa'in Kāna Al-Ladhī . So agar hai woh
`Alayhi Al-Ĥaqqu . Jis'par haqq hai
Safīhāan . By'wakoof
'Aw Đa`īfāan . Yaan kamzor
'Aw Lā Yastaţī`u . Yaan nahi woh qudrat rahkta
'An Yumilla . Yeh ke woh lihk'aye
Huwa Falyumlil . To woh chahiye ke lihk'aye
Walīyuhu . Us'ka sarparast
Bil-`Adli  ۚ. Insaaf se
Wa Astash/hidū . Aur ga'wa kar lo
Shahīdayni . Do (2) ga'wa
Min Rijālikum  ۖ. Apne mar'don mein se
Fa'in Lam Yakūnā . So agr na hon
Rajulayni . Do (2) mard
Farajulun . To aik mard
Wa Amra'atāni . Aur do (2) aur'atien
Mimman . Unmein se
Tarđawna . Jinko tum pasand kar lo
Mina Ash-Shuhadā'i . Ga'wahon se
'An Tađilla . Yeh ke agar bhool jaye
'Iĥdāhumā . Unmein se aik aurat
Fatudhakkira . To yaad karvaye
'Iĥdāhumā Al-'Ukhrá  ۚ . Doosri ko
Wa Lā Ya'ba Ash-Shuhadā'u . Aur na inkaar karey
'Idhā Mā Du`ū  ۚ . Jab woh bulaye jayien
Wa Lā Tas'amū . Aur na susti karo
'An Taktubūhu . Yeh ke tum lihko
Şaghīrāan 'Aw Kabīrāan . Muamila chota yaan bhara
'Ilá 'Ajalihi  ۚ  . Yeh ke aik mud'at muqar'ar thak
Dhālikum 'Aqsaţu `Inda Al-Lahi . Yeh zayada insaaf wala hai Allah ke nazdeek
Wa 'Aqwamu Lilshshahādati . Aur zayada mazboot gawa'hi ke liye
Wa 'Adná 'Allā Tartābū  ۖ  . Aur zayada kareeb ke na tum parho
'Illā . Magar yeh
'An Takūna . Ke ho
Tijāratan . So'da
Ĥāđiratan . Mo'jood
Tudīrūnahā . Jis'se tum lait'te rehte ho
Baynakum . Tum a'pas mein
Falaysa `Alaykum . To nahi hai tumpar
 Junāĥun . Koi gunah
'Allā Taktubūhā  ۗ  . Ke tum na lihko isko
Wa 'Ash/hidū . Aur tum gawa kar lo
'Idhā Tabāya`tum  ۚ  . Jab tum so'da karo
Wa Lā Yuđārra Kātibun . Aur na nuksaan pohanchao, lihkney waly ko
Wa Lā Shahīdun  ۚ  . Aur na gawa ko
Wa 'In Taf`alū . Aur agar aisa karogey tum
Fa'innahu . To beshak woh
Fusūqun . Gunah hai
Bikum  ۗ  . Tum par
Wa Attaqū Al-Laha  ۖ  . Aur daro Allah Ta'lla se
Wa Yu`allimukumu Al-Lahu . Aur seehkata hai tumko Allah Ta'lla
Wa  ۗ  Allāhu Bikulli Shay'in `Alīmun . Aur Allah Ta'lla har cheez ko jaan'ne wala hai

O you who have believed, when you contract a dept for a specified term, write it down.  And let a scribe write (it) between you in justice. Let no scribe refuse to write as Allah has taught him.  So let him write and let the one who has the obligation dictate.  And let him fear Allah, his Lord, and not leave anything out of it.  But if you who has the obligation is of limited understanding or weak or unable to dictate himself, then let his guardian dictate in justice.  And bring to witness two witnesses from among your men. And if there are not two men (available), then a man and two women from whom you accept as witnesses - so that if one of the women errs, then the other can remind her.  And let not the witnesses refuse when they are called upon.  And do not be (too) weary to write it, whether it is small or large, for its (specified) term. That is more just in sight of Allah and stronger as evidence and more likely to prevent doubt between you, except when it is an immediate transaction which you conduct among yourselves. For (then) there is no blame upon you if you do not write it.  And take witnesses when you conclude a contract.  Let no scribe be harmed or any witness. For if you do so, indeed, it is (grave) disobedience in you.  And fear Allah. And Allah teaches you.  And Allah is knowing of all things.


No comments:

Post a Comment